Sunday, May 25, 2014

Whatsapp hindi love shayari 2014

Kiya hai pyar aap se,
chaahe duniya ruth jaye hamse,
chalti hai hamari sanse tumse,
ruk jayegi dhadkan durr na jana hamse…

Chhod haseen chehre ki khwahish ae dost tu mera dil sambhal le,
Kya pataa kal tere haseen chehre par aansu ho aur ye dil bhi tera nahi.

Jawani ko zindagi ki nikhar kehte hain,
patjhad ko chaman ka majdhaar kehte hain,
ajeeb chalan hai duniya ka yaaro,
ek dhoka hai jise hum sab “Pyaar” kehte hain…

Na main tumhe khona chahta hu
na teri yaad me rona chahta hu
jab tak zindagi hai main hamesa tumhare sath rahunga
bas yahi baat tumse kehna chahta hu…

Jo tu rooth jaye, tujhe manaane ko jee karta hai
Jo tu door jaye, tujhe paas bulane ko jee karta hai
Jo tu mil jaye, tujhe gale lagane ko jee karta hai
Jo mil jaye hamari nazre tab teri baaho me aane ko jee karta hai

No comments: